Chaal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Lunga Lyrics – Usama Ali | Raffey Anwarr

Chaal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Lunga Lyrics By Raffey Anwarr Is Recently Released Hindi Song Is Featuring Usama Ali & Ahad Khan. The Music Has Composed By Usama Ali & Ahad Khan While Chaal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Lunga Lyrics Are Written By Usama Ali & Ahad Khan Video . This Song Officially Released On AUR Youtube Channel.

Tu Hai Kaha Lyrics

Ki Jab Main Hadd Se Aage Badh Gaya Tha Aashiqui Mein,
Yani Zindagi Ko Le Raha Mazak Hi Mein,
Fir Mazak Hi Main Mil Gaya Sab Khak Hi Mein,
Choo Kar Aaya Manzile To Tanha Tha Main Vapasi Mein,

Jaise Phool Tode Honge Tumne Jholi Bharke,
Me Wo Phool Jo Ki Reh Gaya Tha Shakh Hi Mein,
Jaise Khwab Hi Main Khwab Gahein Aankh Hi Mein,
Pal Se Pal Main Kya Hua Tum Reh Gaye Bas Yad Hi Mein,

Ek Sawal Machalta Hai Mere Dil Mai Kabhi
Tujhe Main Bhul Jaun Ya Tujhe Main Yaad Karoon
Tujhi Ko Soch Ke Likhta Hu Jo Bhi Likhta Hu
Ab Likh Raha Hu To Fir Kyu Na Ek Sawal Karoon

Mai Is Sawal Se Gham To Badal Du Khushiyo Mein
Par Inn Bejan Si Khushiyo Se Kya Kamal Karoon
Par Ab Sawal Bhi Kamal Tu Sambhal Le Filhal
Ye Zawal Bicha Jal Kya Mai Chaal Chalu

Chaal Chal Tu Apni Main Tujhe Pehchan Lunga
Mai Apni Mehfilon Main Sirf Tera Hi Nam Lunga
Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja Or Bas Khamoshiyan,
Main Tere Khatir Apni Khudki Sanse Tham Lunga,

Kya Tere Sare Aansun Mere Ho Sakte Hai,
Aisa Hai To Tere Khatir Hum Bhi Ro Sakte Hai,
Mere Khatir Mere Rone Par Ab Tum Bas Hass Dena,
Ek Bar Teri Muskurahat Ke Piche Hum Sab Kuch Kho Sakte Hai,

Kya Meri Mohbbaton Ka Koi Hisab Nahi Hai,
Kya Teri Aankhon Main Mere Liye Koi Khwab Nahi Hai,
Tujhe Kya Hi Karun Ghamzada Ab Jane De,
Ki Tere Pas Mere Pyar Ka Jawab Nai Hai,

Kitni Muddate Hui Hai, Tumne Khat Kyun Nahi Bheja,
Ga Leta Hu Tere Liye, Mausiqi Nahi Hai Pesha,
Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab,
Ab Kya Masuamon Se Puchu Tere Aane Ka Andesha,

Ankhon Main Aansoon Nahi Hai,
Kahan Hai Tu Kaha Tu Nahi Hai,
Dil Ko Ye Ab Jan’na Hi Nahi,
Bas Tum Chale Aao,

Tu Hai Kahan,
Khwabo Ke Iss Sheher Mein Mera Dil Tujhe Dhund Ta,
Dhund Ta, Arsa Hua, Tujhko Dekha Nahi,
Tu Na Jane Kaha Chup Gaya, Chup Gaya,

Aao Firse Hum Chale,
Tham 10 Ye Hath, Kardo Kam Yeh Fasle,
Na Pata Ho Manzilon Ka, Na Ho Raste,
Tu Ho, Main Hu, Bethe Dono Firr, Hum Taron Ke Tale,

Na Subah Ho Fir, Na Hi Din Dhale,
Kuch Na Keh Sake, Kuch Na Sun Sake,
Batein Sari Wor Dil Main Hi Rahein,
Tumko Kya Pata Hai Kya Ho Tum Mere Liye,

Main Bhatka Sa Musafir Aur Makan Ho Tum,
Meri Manzilon Ka Ek Hi Rasta Ho Tum,
Dhoond Ta Hai Dil Tujhe Bata Kahan Ho Tum,

Ho Jahan Kahin Bhi,
Aao Pas Take Aansun Mere Tham Sake,
Yad Aa Rahe Ho Tum Mujhe Ab Har Lamhe,
Aisi Zindagi Ka Kya Jo Tum Zindagi Main Hoke,
Meri Zindagi Na Ban Sake,

Sochta Rahu Ya Bhul Jaun Ab Tumhe,
Tum Mil Hi Na Sakoge, To Fir Kaise Chahun Ab Tumhe,
Tere Sare Khwab Pal Main Jod Denge,
Jisme Tu Hi Na Basega, Fir Wo Dil Hi Tod Denge,

Chod Denge Wo Sheher, Ke Jisme Tum Na Hoge,
Toot Jaenge Makan, Wo Sare Hasraton Ke,
Guzre Pal Jo Sath Tere, Wo Pal Hai Bas Sukoon Ke,
Mil Lo Ab Tum Iss Tarah Se, Ke Fir Nahi Miloge,

Tu Hai Kaha Song Credits

SongTu Hai Kaha
SingerRaffey Anwarr
FeaturingUsama Ali & Ahad Khan
MusicUsama Ali & Ahad Khan
LyricsUsama Ali & Ahad Khan
LableAUR

iLyricsBee FAQs

Who Sung The “Tu Hai Kaha Song?
“Tu Hai Kaha” Song Is Sung By “Raffey Anwarr” .

Who Written The “Tu Hai Kaha Song?
“Tu Hai Kaha” Song Lyrics Are Written By “Usama Ali & Ahad Khan”.

Which Actor/Actress Is Starring/Featuring “Tu Hai Kaha” Song?
“Tu Hai Kaha” Song Is Starring/Featuring “Usama Ali & Ahad Khan”.

Which Music Company Is Released “Tu Hai Kaha” Song?
“Tu Hai Kaha” Song Is Released Under The Label “AUR”.